Hum baht door nikal ay hen chalty chalty
ab Thahar jaain kahin shaam ke Dhalty Dhalty
ab ġham-e-zist se ghabra k kahan jain gay
umr guzri hai isi aag men jalty jalty
raat ke ba.ad sahar hogi magar kis ke liye
ham hi shayad na rahen raat ke Dhalty Dhalty
raushni kam thi magar itna andhera to na tha
sham-e-ummid bhi gul ho gae jalty jalty
aap wade se mukar jain gay rafta rafta
zehn se baat utar jaati hai Talty Talty
TuTī dewar ka saaya b bahut hota hai
paon jal jaeib agar dhuup mein chalty chalty
din abhi baaqi hai 'iqbal' zara tez chalo
kuchh na sujhega tumhen shaam ke Dhalty Dhalty.
No comments:
Post a Comment