Tumhary khat mein naya ek salam kis ka tha
Na tha raqeb to akhir wo naam kis ka tha
Wo qatal kar kel mujhe har kisi sy puchhty hen
Yeh kam kis ny kiya hai yeh kam kis ka tha
Wafa karengay nibahen gay baat manen gay
Tumhen byaad hai kuchh ye kalam kis ka tha
Raha na dil mein wo be dard aur dard raha
Muqam kon hva hai maqam kis ka tha
Na puchh-gachh thi kisi ki wahan na aao-bhagat
Tumhari bazm mein kal ehtmam kis ka tha
Tamam bazm jisay sun ke reh gae mushtaq
kaho wo tazkira-e-na-tamam kis ka tha
Humary khat k to purze kiye parha b neh
Suna jo tu ny ba dil wo payam kis ka tha
Uthai kyuun na qayamat auro k kuchay mein
Lihaz aap ko waqt-e-khiram kis ka tha
Guzr gya wo zamana kahun to kis say kahun
Khayal dil ko miry subho shaam kis ka tha
Hamen to hazrat-e-waiz ki zid ny pilwai
Yahan irada-e-sharb-e-mudam kis ka tha
Agarchy dekhny waaly tery hazaonr thy
Tabah-hal bahut zer-e-bam kis ka tha
Wo kon tha ki tumhen jis ny bewafa jaana
Khayal-e-kham yeh sauda-e-kham kis ka tha
inhe sifat se hota hai aadmi mashhor
Jo lutf aam wo karty yeh naam kis ka tha
Har ik se kahty hen kya 'Dagh' bewafa nikla
Yeh puchhy un se koi wo ġhulam kis ka tha
Read more poetry
No comments:
Post a Comment