Mujhe apne zabt pe naaz tha sar-e-bazm raat ye kya hva
miri aankh kaise chhalak gae mujhe ranj hai ye bura hva
miri zindagi ke charagh ka ye mizaj koi naya nahen
abhi raushni abhi tirgi na jala hva na bujha hva
mujhe jo b dushman-e-jan Mila wohe puḳhta-kar-e-jafa mila
na kisi ki zarb ghalat pari na kisi ka teer khata hva
mujhe aap kyun na samajh sake ye ḳhud apne dil hi se puchhiye
miri dastan-e-hayat ka to varaq varaq hai khula hva
jo nazar bacha ke guzar gae mire samne se abhi abhi
yeh mery hi shehir k log the mery ghar sy ghar hai mila hva
hamen is ka koi b haq nahen ki sharik-e-bazm-e-ḳhulus hon
na hamary paas naqab hai na kuchh astin meein chhupa hva
mujhe ik gali mein para hva kisi bad-naseeb ka khat mila
kahin khun-e-dil se likha hva kahin ansoun se mita hva
mujhe ham-safar b mila koi to shikasta-hal mira tarah
kahin manzilon ka thaka hva kahin raston mein luta hva
hamen apne ghar se chaly hue sar-e-rah umr guzar gae
koi justujo ka sila mila na safar ka haq he ada hva.
Read more poetry
Nida fazli
News
No comments:
Post a Comment