Hum sy bhaga na karo dur ghazalon ki tarah
hum ne chaha hai tumhen chahnay walon ki tarah
ḳhud-ba-ḳhud neend sy ankhon mein ghule jaati hai
mehki mehki hai shab-e-gham tery balon ki tarah
tere bin raat ke hathon pay ye taron k jhund
ḳhub-surat hen magar zahr ke pyalon ki tarah
aur kya is se ziyada koi narmi barton
dil ke zakhmon ko chuva hai tery galon ki tarah
gungunaty hve aur aa kabhi un seenoo mein
Teri khatir jo mehakte hen shivalon ki tarah
teri zulfen teri ankhen tery abru tery lab
ab b Mashhoor hen duniya mein misalon ki tarah
ham se mayus na ho ay shab-e-dauran k abhi
dil mein kuch dard chamakte hen ujalon ki tarah
mujh se nazren to milao k hazaron chehry
meri ankhon mein sulagtay hen sawalon ki tarah
aur to mujh ko mila kya meri mehnat ka sila
chand sikke hen mery haath mein chhalon ki tarah
justuju nay kisi manzil pe Thaharnay na diya
ham bhaTaktay rahy awara khyalon ki tarah
zindagi jis ko tera pyaar mila wo jaany
ham to nakam rahy chahnay walon ki tarah.
Read more poetry
News
No comments:
Post a Comment